Aaj Aaye Nabiyon Kay Sardar Marhaba Lyrics

in a, Owais Raza Qadri Lyrics

Aaj aaye nabiyon kay sardar marhaba,
Marhaba aye qafila salaar marhaba.

Amina kay dilbar o dildar marhaba,
Marhaba aye mehboob-e-ghaffar marhaba.

Shaad ho kay aamad-e-khair ul wara hai aaj,
Ghum kay maaray bol uthay ghum khwaar marhaba.

Subz parcham haath mein lehra kay sub bolo,
Makki madni aye arabi sardar marhaba.

Jhoomta hai wajd mein kaaba khushi mein aaj,
Keh rahe hain mibar-o-minaar marhaba.

Bas gayi hai wadi-e-jaan mein naee mehek,
Teri aamad per shah-e-abrar marhaba.

Do ubaid-e-bay hunar ko naat ka shaoor,
Kar raha hai piyaar se takraar marhaba.