Mohammad Ke Shahar Main [Part 3-3] Lyrics

in Aslam Sabri Lyrics, m

Main tujhe aalim e ashiya mein bhi pa lata houn
Log kehtay hain keh hai aalim e bala tera
Aik bar aur bhi Yasrab say Palestine main aa
Rasta dekhti hai Masjid e Aqsa tera
Puray qad say main khara houn yeh karam hai tera
Mujhko jhuknay nahin deta hai sahara tera

Log kehtay hain keh saya teray paikar ka na tha
Main to kehta houn jahan bhar pay hai saya tera
Yahan tak shoukay dedar e nabi tha haq e aala ko
Unhein bheja yahan wahan rakh liya saya

Saya nahin hai gunbad e khizra ka aaj bhi
Zinda yeh mojza hai Muhammed kay shehar main!!!

Dhounda Khuda ko dhundnay waloon nay har jagah
Lekin Khuda mila hai Mohammad ke shaher mein!

Khuda azal say huwa aisa mubtala e rasul
Ke kainat ko paida kiya bara e rasool
Diloon ko bha gaye kuch is tarah aada e rasul
Kay jan o dil say sahaba huye fida e rasool
Dil o nigah ki duniya pay aisay chaye rasul
Ke kainat ki har shai mein jagmagaye rasul

Agar hazoor na hote to kuch nahin hota!
Yeh kainat banayi gayi baraye rasool
Maloon jabeen pay basaoon main apni aankhoon mein
Milay naseeb say mujhko jo khak e paye rasul

Mohammed ke shaher mein

[ Sufi Bismil Baba’s Poem Verses Finish Here From Part 2 ]

Babay asar khula hai Muhammed kay shehar main
Maqbool har dua hai Muahammed kay shehar main
Kushiyoon ka dar khula hai Mohammed ke shaher mein
Kyun gham zada khara hai Mohammed ke shaher mein

Dhokha, faraib, jhoot, daga, aur kalam e bad koi na janta hai Mohammed ke shaher mein
Behr e salam aatay hain har dam malaika
Jari yeh silsila hai Mohammed ke shaher mein
Jari yeh silsila hai Mohammed ke shaher mein

Har subha khusnuma hai Mohammed ke shaher mein
Har shaam dil ruba hai Mohammed ke shaher mein
Dil ka sakoon, ruh ki taskeen nazar ka noor
Bikhra huwa para hai Mohammed ke shaher mein

Allah nay yeh Masjid e Nabwi ki ronakein
Jannat ka dar khula hai Mohammed ke shaher mein

Har zakham kay liye yahan marham hai dastiyaab
Har dard ki dua hai Mohammed ke shaher mein

Har zakham kay liye yahan marham hai dastiyaab
Har dard khud dawa hai Mohammed ke shaher mein

Is sar zameen kay khar bhi phuloon say kam nahin
Kanta bhi gulnuma hai Mohammed ke shaher mein
Duniya mein usnay dekh li jannat bachashm e khud
Jo reh kay aa gaya hai Mohammed ke shaher mein

Shaher e Nabi ki had ka ta’ayun mahal hai
Aalam basa huwa hai Mohammed ke shaher mein

Bay parda sab kay samnay chamka Khuda ka noor
Abu Jahal phir bhi dekh na paya Khuda ka noor
Arsh e barein say kam nahin Taiba ki sar zameen
Khud jiski goud main simat aaya Khuda ka nur
Tareef kiya bayan ho jamal e rasool ki
Shakal e bashar main woh hain sarapa Khuda ka nur

Aie raz tou to hind main mojood hai magar
Dil naat parh raha hai Mohammed ke shaher mein
Main kiya kahoon kay kiya hai Mohammed ke shaher mein
Bay parda khud Khuda hai Mohammed ke shaher mein
Aslam woh din bhi aaye kay sab log yeh kahein

Bismil bhi jaa raha hai Mohammed ke shaher mein
Bismil bhi jaa raha hai Mohammed ke shaher mein

Qawwali Information:
Qawwali: Mohammad Ke Shahar Main
Artist: Aslam Sabri
Music: Md. Tahir
Presenter: Sonic Enterprises

Other Parts of Qawwali:
Part 1 Lyrics: Mohammed Ke Share Main
Part 2 Lyrics: Mohammed Ke Share Main