Shab-e-Taree Lyrics

in Shahid Baltistani Nohay Lyrics

Shab-e-Taree Lyrics

Ya Aba Saleh x4
Kabhi Aiy Haqeeqate Muntazar Nazar aa Libas-e-Majaz main x2
Kay Hazaron sajday tarap rahay hain meri Jabeene Niaz Main
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab e Tareh, Shab e Taree

1. Ai Masihae jahan wariso mukhtaar-e-Haram
Aiy meray barhway maula teri azmat ki qasam
Jis tarha hay mujhay Allah kay honay ka yaqeen
Is tarha hay teri ghaybat pay yaqeen e mohkam
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Taree

2. Apni her sans mujhay lagti hay khanjar ki tarha
Hijr e malik main hun betaab main nokar ki tarha
Lamha lamha mery sarkaar teri amad ka
Muntazir rehta hun shabbir kay mimber ki tarha
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh

3. Jub nai roshni payghame sahar laati hay
Khud ba khud khana e kaba pay nazar jaati hay
Jub nazar ata nahi hay tera jalwa maula
Ho kay mayoos nazar meri palat aati hay
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh

4. Lazzate hijr teray wasal ka aaina hay
Teri furqat ka meray dil main azakhana hay
Meri is baat ki behlol gawahi dengay
Jo bhi deewana hay tera wo bara dana hay
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh
GUMGASHTA E MAZAR E MUHABBAT KUJAAEE
YA ALI YA ALI ABA SALEH

5. Mun bakhale labat aiy doost giraftaar shudam
Chashame beemar tura deedamo beemar shudam
Farigh az khud shudam khoose anal haq bizadam
Hamchu mansoor kahreedare sar-e-daar shudam
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh

6. Intezaare ali kabar main jahan say guzri
Apnay bhai say bichar kar jo kabhi mil na saki
Appko wasta hay Maula usi Sughra ka
Ub to aa jao kay ruk jain na sansain meri
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh

7. Jub kabhi ghaib say Rehan imama ain gay
Sath abbase dilawar ka alam laingay
Bay ridai ka jo zaynab ki wo badla lengay
Ashk sajjad ki ankhon kay bhi thum jaingay
Shab-e-Tareh Be Qararay dil e kay charay na daray
Nafasam munday to seenay chashme mun birahe Yare
Shab-e-Tareh, Shab-e-Tareh x2